kisi ki aansuon se tar-ba-tar dadhi ke kuchh tute hue baal aaj bhi mumkin hai mil jaen bade sanduq mein rakkhe mere bad-rang se ek suitar par usi din ka koi ham-shakl din hai kisi tange mein phir saman rakkha ja raha hai wahi dahliz hai lekin mere dadhi nahin hai mera ladka gale se lag ke mere thapak kar pith meri buzurgon ki tarah mujh ko tasalli de raha hai aur main ek bachche ki surat ro raha hun hichkiyon se