bhaunkte hain jo kutte un ke samne koi dal de agar haddi jaante hain kya hoga yak-nigah-o-yak-ahang ustukhwan pe jhaptenge aur log dekhenge ittihad-e-baham ka zahr-pash nazzara dil-kharash nazzara ek un ki ghurrahat ek pentra un ka ek bhaunkna un ka ek kawish-e-paiham raat ki khamoshi mein jhilmilaenge tare soenge thake haare ek sukun ka aalam lad padenge ye kutte aur nind uda denge bilbilaenge bachche thapthapaengi maen bap-bhai jagenge koi aadmi aakhir ghar se aaega bahar hath mein asa le kar dum daba ke bhagenge ye sukun ke dushman dostan-e-ahriman