ab gila nahin karna

ab ke hum ne socha hai
jis ne bhi rulaya ho

lakh dil dukhaya ho
muskura ke milna hai

ab kisi ummid ka
mahal khada nahin karna

khud se ab nahin ladna
tum se kuchh nahin kahna

ab gila nahin karna
yaad ke kinare aur

khwab ke jazire to
kab hain ikhtiyar mein

han magar haqiqat ke
raston pe bhul kar

tum se ab nahin milna
jhil jaisi aankhon ko

namkin paniyon ke sath
ab kabhi nahin bharna

khud se ab nahin ladna
tum se kuchh nahin kahna

ab gila nahin karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close