ye mana bahut kaam aate hain kutte ki choron ko pal mein bhagate hain kutte nahin rahne dete hain sunsan us ko mohallon ki zinat badhate hain kutte magar un ki khaslat hai apnon se ladna ki kutton pe khud ghurghuraate hain kutte agar jama ho jaen kutte bahut se to phir asliyat bhi dikhate hain kutte jo bore ko latkae chunta ho kaghaz to phir jaan ko us ki aate hain kutte najis aur napak hai jism un ka jabhi to nahin hum ko bhate hain kutte wahan par hai tadad un ki ziyaada jabhi log foreign se late hain kutte kai aaise fashion ke mare bhi hain ab ki pahlu mein apne sulate hain kutte farishton ko aane se wo rokte hain gharon ki jo zinat banate hain kutte