raat hai burda-farosh us ke bahkae hue hosh mein kab aae hain apne aanchal ke sitare bhi jo nilam kare us ki banhon mein jo bahka hai wo sambhla hi nahin us ki baaton mein jo aaya wo kabhi soya nahin jis ke paikar ko hawa ne bhi kabhi mas na kiya raat purkar fusun-zar aur aashufta-mizaj jis ki aaankhon ko kisi khwab ne bosa na diya aisi dilkash ki misal us ki muhaal jis se ham-khwab ho be-khwabi muqaddar us ka jis ke ham-rah chale khud ko bhula deta hai us ke bahkae hue 'hafiz' o 'rumi' o 'tabrez' hue