purani baat hai lekin ye anhoni si lagti hai bani-quddus ke beton ka ye dastur tha wo apni shamshiren niyamon mein na rakhte the musallah ho ke sote the aur un ke khub-ru gabru kase tiron ki surat raat-bhar mishal-ba-kaf khemon ke bahar jagte rahte bani-quddus ke bete balaon aur azabon ko hamesha laghzish-e-pa ka sila ginte gunahon se hazar karte magar ek din ki wo manhus saat thi kharabi ki zanan-e-nim-uryan dekh kar khana-ba-doshon ki kuchh aise mar-mite jab raat aai to bani-quddus ke beton ki shamshiren niyamon mein padi thin aur diwaron pe latki thin wo pahli raat thi khemon ke bahar ghup-andhera tha faza mein dur tak kutton ki aawazon ka nauha tha