main ne apne likhne padhne ke kamre mein qalam bina ek nazm likhi hai nazm ko main ne kuchh aise tartib diya hai sab se pahle tuk tuk karti ek ghadi hai phir hai calendar is ke baad hai pital ki ek shama-dani aish-tray phir beijing sham aur singapore ki chini aur tanbe ki platen phir thodi si jagah bana ke shishe ka gul-dan rakha hai us se aage musawwiri aur thetar par do tin kitaben wahin pe tirchhi kar ke rakhi qulqul karti ek surahi sab ke bich mein nanha sa ek joker bhi hai ye meri wo pahli nazm hai jis mein koi lafz nahin hai bas paikar hain meri pahli nazm hai jo qari aur samea donon se aazad hui hai aankhon ki hamraaz hui hai