lakdi ke bane hue aadmi pani mein nahin dubte aur diwaron se tange ja sakte hain shayad unhen yaad hota hai ki aara kya hai aur darakht kise kahte hain har darakht mein lakdi ke aadmi nahin hote jis tarah har zamin ke tukde mein koi kar-amad chiz nahin hoti jis darakht mein lakdi ke aadmi ya lakdi ki mez ya kursi ya palang nahin hota aara banane wale use aag ke hath bech dete hain aag sab se achchhi kharidar hai wo apna jism muawze mein de deti hai magar aag ke hath gili lakdi nahin bechni chahiye gili lakdi dhup ke hath bechni chahiye chahe dhup ke pas dene ko kuchh na ho lakdi ke bane hue aadmi ko dhup se mohabbat karni chahiye dhup use sidha khada hona sikhati hai main jis aare se kata gaya wo maqnatis ka tha use lakdi ke bane hue aadmi chala rahe the ye aadmi darakht ki shakhon se banae gae the jab ki main darakht ke tane se bana main har kamzor aag ko apni taraf khinch sakta tha magar ek bar ek jahannam mujh se khinch gaya lakdi ke bane hue aadmi pani mein bahte hue diwaron par tange hue aur qataron mein khade hue achchhe lagte hain unhen kisi aag ko apni taraf nahin khinchna chahiye aag jo ye bhi nahin puchhti ki tum lakdi ke aadmi ho ya mez ya kursi ya diya-salai