ammi ki ye ja-e-namaz mujhe de do mujhe pata hai is mein kitni raushan subhen jazb hui hain kitni sannati do-pahren is ki siwan mein zinda hain maghrib ke jhat-pat anwar ki shahid hai ye aakhir shab ka girya us ke tane-bane ka hissa hai mujhe pata hai ammi ke pakiza sajdon ki sargoshi us ke kanon mein zinda hai us ke sachche sachche sajde dekho kaise chamak rahe hain un ke lams ki khushbu kaisi phut rahi hai ammi ki ye ja-e-namaz badi daulat hai ammi ki ye ja-e-namaz mujhe de do