gehun kya shai hai bajra kya hai aur chawal hai kya chana kya hai uf ye basta mere khuda kya hai meri taqdir mein likha kya hai ye school aur madrasa kya hai in ke khulne ka muddaa kya hai aaj tak ye samajh mein aa na saka likhne padhne se faeda kya hai ye kitaben ye copiyan ye qalam in mein kuchh to kaho dhara kya hai bas kitabon bhara bada basta aur man bap ne diya kya hai master mujh ko marte kyon hain main ne un ko bhala kaha kya hai aadmi se bana diya murgha aur is se badi saza kya hai der chhutti mein kya hai dekhun to ab ghadi mein meri baja kya hai hum ko ammi ye pahle batla do chae ke sath nashta kya hai jis ne khae na hon wo kya jaane ras bhari kya hai ghalghala kya hai sau gadhon par shakil hai bhaari samne us ke ek gadha kya hai sar munda kar wo aa raha hai tufail badh ke de tip dekhta kya hai baat 'yakta' ki man apne liye soch achchha hai kya bura kya hai