sun ke bhi chup hi raha talkh baaten mushk-bar afghani qahwe ke rasile ghunt mein ghul-mil gain ye haqiqat aur thi ki bap dada qissa-go mashhur the is liye wo chup raha tarikh ke naqshe mein jin shahron ki shohrat gunjti hai wo khamoshi ke is azli rang se zahir hue jis se shanasai nahin hai is hujum-e-shor-o-shar ki us ne socha yaad-gari chauk mein chaaron taraf ye bolte bazar hain is liye afsurdagi mein gum khade us bed-e-majnun par nazar padti nahin jo akela rah gaya hai qissa-khwanon mein yahan be-rang ukhadti chhaal par chaqu se kanda nam phika pad gaya hai kanda-kari ja mili hai khak se waqt ki ghaflat ne kya sabit kiya zakhm khane aur lagane walon mein kaun fatah-yab hain shirin-gul! aage suna kya sabz aankhon mein bhi khaki khwab hain