kya KHabar thi

kya khabar thi riyasat-e-islam
mujrmon ki panah bhi hogi

kya khabar thi ye adl ki jagir
rahm ki qatl-gah bhi hogi

paenge dushmanan-e-din eazaz
qatilon ki rifah bhi hogi

zulm ke hath mein asa hoga
aur sar par kulah bhi hogi

jahl paega ilm par sabqat
aur khirad gard-e-rah bhi hogi

aala ohdon pe honge sab na-ahl
tang-nazari athah bhi hogi

ghat mein hogi fauj apni bhi
dushmanon ki sipah bhi hogi

baadshah ke jo git gaenge
un ki jaanib nigah bhi hogi

jo likhega qasida-e-shahi
us ko taid-e-shah bhi hogi

jurm ho jaega bahut arzan
ishtiha-e-gunah bhi hogi

sirf ghaddar paenge tamghe
un ki hi izz-o-jah bhi hogi

log har zulm par rahenge chup
is tarah se nibah bhi hogi

qaum tadpegi dad lenge wazir
aah bhi hogi wah bhi hogi

phir girani ka aaega tufan
muflisi be-panah bhi hogi

khul ke hogi zakhira-andozi
aur safed-o-siyah bhi hogi

todenge kamar awam ki tex
aur maishat tabah bhi hogi

gham ki parchhaiyon se arz-e-watan
kya khabar thi siyah bhi hogi

aur wo waqt phir se aaega
jab taraqqi ki chah bhi hogi

log mangenge ek nai hijrat
chal padenge to rah bhi hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close