sare watan ke raj dulare sadr-e-hukumat zakir pyare bhaarat man ki aankh ke tare sadr-e-hukumat zakir pyare buniyaadi talim ke bani hubb-e-watan ki zinda kahani ilm ke dariya amn ke dhaare sadr-e-hukumat zakir pyare mamuli ustad se badh kar ban gae sare mulk ke rahbar gham se kabhi himmat hi na haare sadr-e-hukumat zakir pyare dekh ke teri jehd-e-musalsal chhat gae khud hi dukh ke baadal phul bane gham ke angare sadr-e-hukumat zakir pyare gandhi ji ke raaz ke mahram aur jawahar lal ke hamdam amn-o-aman ke palan-haare sadr-e-hukumat zakir pyare aazadi ke dip jalae tu ne watan se dur bhagae ahd-e-ghulami ke andhiyare sadr-e-hukumat zakir pyare mushtarka tahzib ke mazhar ijz-o-khulus akhlaq ke paikar sab ki ummidon ke sahaare sadr-e-hukumat zakir pyare tu hai watan ka rahbar sachcha kyon na watan ka bachcha bachcha nam tera izzat se pukare sadr-e-hukumat zakir piyare