aksar main ne ye socha hai tujh se kya rishta hai mera is duniya mein kitne chehre apne bhi begane bhi hain jaane bhi hain anjaane bhi hain chehron ki isi jhurmut mein hai tera chehra aisa chehra zehn ke aaina-khane mein roz-e-azal se jo rahta hai sapnon ke sanchon mein dhal kar rang badal kar rup badal kar aata hai ghere rahta hai mujh ko halqe mein yaadon ke yaadon ki isi rahguzar mein lakhon mahfil lakhon chehre phir bhi mere dil darpan mein rahta hai bas tera chehra tere aage sajda karun dil kahta hai tera wajud meri nazron mein hai na haqiqi hai na majazi tujh se kya rishta hai mera nam nahin hai is rishte ka bas be-nam sa ek rishta hai rishton aur sapnon ki sari bahs purani phir bhi tere nam ke aate hi ye rishte aur ye sapne rup haqiqat ka lete hain tazgi in mein aa jati hai josh naya jazba an-jaana aa jata hai jaise jaise waqt guzar jata hai yaadon ke nuqush gahre hote jate hain ehsas ki shiddat badhti jati hai waqt guzar jaega ek din shahr ujad jaenge ek din lekin teri yaad ki khushbu rah jaegi aur aawaz ka paikar rangon mein dhal jaega khushbu ko roka hai kis ne aawazen kab qaid hui hain chahat kab zanjiron ko deti hai dawat is liye lagta hai shayad lamha-lamha pal-pal tere qurb ki khushbu badhti jati hai aawaz ka paikar daera phailata jata hai chahat ka aakash ghanera hota jata hai