kuchh dinon se main jab bhi aaine mein apni halki safed laten dekhti hun ek jaana-pahchana rasta nazar aata hai jis ke ek kinare tum chal rahe ho dusre pe main chup-chap ajnabi ban kar tumhaara dhundla sa chehra wo kali frame wale chashme kanon ke pas ugi hui kuchh aisi hi safed lakiren main tumhein ghaur se dekh nahin pa rahi bas chalte ja rahi hun tumhaare sath tum se dur khamoshi se is bar gul-mohar ke ped ki taraf nahin ek dhalti hui sham ki or dubte hue suraj ki taraf wo safed lakiren ab phail rahi hai halki sunahri raushni mein chandi si chamakti wo chamak meri ungliyon mein utar aati hai tum se dur hun phir kaise andaruni thakan dhire dhire badh rahi hai main pukarna chahti hun tumhein hath badha kar chhuna shayad tum bhi magar kafi dur aa chuke hai hum aur achanak wo sham gahre andhere kuen mein dubne lagti hai ek bhanwar mujhe kahin khinch rahi hai main ab tumhein dekh nahin pa rahi aur tum bhi mujhe dhundh rahe honge tum ab bhi dur ho ya pas kis kinare pe ho ab tum kahin ye raat to nahin wahi raat jis ka tum zikr kiya karte the wahi raat jis ka din nahin hota jahan hum mil sakte hai kya yahin miloge tum mujhe