pura chand pura chand nahin diya tum ne mujhe meri ye nadan shikayat yaad hai tumhein chhote se ghar ki tuti hui chhat se chand ko tukdon mein dekha karti thi tum mujhe dekhte rahte main chhat mein kuchh dhundha karti thi hath badha kar chhu lun ji karta tha tumhaare hath mein piroi ungliyan chhuta nahin karti thi kitni raaten isi arman mein guzri torch se nikalti raushni ki tarah mere chehre par bikhri thodi si chandni ko apni ungliyon se chhu kar tum kahte the pura chand aur tumhaari bahon ki thandak mein wo arman gum-shuda hota gaya rassi pe tangi tumhaari safed qamis dekhe bina nind nahin aati ab tumhaare pyar ke ujalon se behtar koi aur nur hoga raat-bhar ka umr-bhar ka pure chand ka wo adhura arman so gaya mere bhitar sukun se apna bhara pura aasman odh kar