kya wo main hi tha

kya wo main hi tha
jis ne

itni ghazlen nazmen itne natak
aur na-jaane kya kuchh likha

meri aankhen
milon dur falak par udti hui patangen dekh ke

un mein farq bata sakti thin
badminton ke court ke aakhiri kone se

palak jhapakne mein aage net par aata tha
aur palat kar pal mein

wapas dusre kone tak jata tha
kya wo main hi tha

ghar ki tisri manzil par
din mein das bar pahunchna

koson paidal chalna
daud lagana

din ki thakan ka
raat ki bedari mein mukhil na hona

do do roz musalsal
chaunsath khane samne rakkhe

mohre aage pichhe karna
sab mamul ki baaten

khane se pahle ye kabhi na socha
kya khana hai

baad mein kabhi khayal na aaya
kya aur kitna khaya

ganne ko danton se chhil ke kha sakta tha
kachcha satta pakke chane chaba sakta tha

shart laga kar aangan mein
jamun ke ped ki sab se unchi shakh ko chhu aata tha

kya wo main hi tha
aur wo ishq ke qisse

khair
un ka zikr to jaane hi do

un ke bayan ki tab nahin hai
yaadon ke daftar mein goya

ab ye bab nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close