ye hai mera watan tumhaara watan jaan-o-dil se hamein hai pyara watan har amal se ayan ho hubb-e-watan ye hai mera watan tumhaara watan jaan de kar sanwarna hai ise zabt-e-gham se nikhaarna hai ise bhulna tum nahin badon ka chalan ye hai mera watan tumhaara watan har khushi ko nisar karna hai har jagah gul-bahaar karna hai sab ke dil mein sajae rakhna lagan ye hai mera watan tumhaara watan behtari ka sabab hai sab ke liye rahbari ka sabab hai sab ke liye ye hai baqi to dil hain sab ke magan ye hai mera watan tumhaara watan tere aslaf ki nishani hai is se wabasta zindagani hai chand tare ko lag na jae gahan ye hai mera watan tumhaara watan yahi pahchan hai musalman ki izzat-e-nafs hai musalman ki hai dilon ka sahaara sara chaman ye hai mera watan tumhaara watan khun-e-dil se jalae hum ne charagh bebasi ke mila diye sab dagh rah dushwar marhale the kathin ye hai mera watan tumhaara watan pak ho jazba-e-nihan apna ye hai apna to hai jahan apna is ki peshani par na aae shikan ye hai mera watan tumhaara watan dar na jaana kahin zamane se khauf khana nahin zamane se rah mein aaen chahe ranj-o-mehan ye hai mera watan tumhaara watan is ki har baat har ada is ki gunjti jaegi sada is ki yaad rakhna sada hamara sukhan ye hai mera watan tumhaara watan