wo husn jo khanda-zan tha kabhi mahtab ki ujli kirnon par wo gal jinhon ne sharmaya shadab kanwal ke phulon ko wo aankh chhalakti rahti thi paimane se jis ki bad-masti wo husn hai kyon mayus-e-nazar kyon jalwon ke mahtab bujhe kyon gul huin nazron ki shamen kyon ashk hain palkon par larzan murjha gae kyon aariz ke kanwal gahna gae kyon raushan tare wo ek ada jis ne dil ko bakhshi thi tamanna jine ki wo ek tabassum jis ne kabhi luta tha suhag armanon ka wo ek nazar wo bijli jis ne phunka zist ke khirman ko mahrum-e-nigah-e-shauq hui kyon shokh adaon ki punji barbaad-e-khizan hain ab kaise rangin tabassum ki galiyan wo ek nazar afsurda kyon wo ek nazar hai hairan kyon