aankh walo husn-e-wahdat ka tamasha kyon na ho dil hai to raaz-e-haqiqat ki tamanna kyon na ho apni manzil ki taraf garm-e-safar hai kaenat aadmi phir manzil-e-maqsad ka joya kyon na ho dil mein har zarra ke pinhan hai tamanna ka sharar qalb-e-insan hamil-e-soz-e-tamanna kyon na ho ek na ek ummid ki mashal jalana hai to phir shama-e-iman hi ka dil-afroz ujala kyon na ho ek na ek dar ki jabin-sai pe qismat zist ki kar de sab se be-niyaz ek aisa sajda kyon na ho jab guzarna hai sahaaron hi par apni zindagi jo na de sakta ho dhoka wo sahaara kyon na ho tishnagi mein chand qatron par qanaat kis liye daman-e-himmat harif-e-josh-e-dariya kyon na ho aarzi partaw hai jis ka ghuncha-o-gul se ayan us bahaar-e-jaan-faza hi ki tamanna kyon na ho muntazir jab ek farda ke hain sab imroz-o-dosh zindagi ko ehtimam-e-fikr-e-farda kyon na ho aankh ke jalwon ko jab hasil hai auj-e-eatibar hosh walo eatibar-e-qalb-e-bina kyon na ho nakhuda bhi jis pe rakhta hai nazar tufan mein naw walo rukh usi ki samt apna kyon na ho dil ke har zarra mein hai ek aalam-e-nau jalwa-gar aankh walo is jahan ka bhi tamasha kyon na ho jaan hi thahri baha-e-naz to ai dosto chhod kar zarron ko suraj hi ka sauda kyon na ho jab kisi an-dekhi taqat par bharosa hai zarur dahr walo phir khuda hi ka bharosa kyon na ho