is qadar karam kyon hai itni kyon nawazish hai kya ye koi sazish hai tirgi hawa se kyon rabta badhati hai kyon hawa charaghon ki pith thapthapati hai kyon nahin samajhte hum chahaton mein rishton mein kuchh nami zaruri hai zindagi zaruri hai bar gile kapdon ka algani uthati hai aur sukh jaen to ye hawa udati hai kyon nahin samajhte hum waqt ki munderon par ghas ugne lagti hai kai jamne lagti hai zakhm apne sine ke budhi chhat chhupati hai aansuon ki barish se ninw baith jati hai kyon nahin samajhte hum mehrban samundar bhi baadban o langar bhi aur hum shanawar bhi nakhuda ki koshish bhi rasta banati hai phir bhi kyon kinare par naw dub jati hai kyon nahin samajhte hum