barf ki ek safed chadar par

mazhab-o-rang ki siyasat ne
meri firdaus meri jannat ka

rang aur nur hi badal dala
pura dastur hi badal dala

nafraton ki hawa chalai gai
zafrani faza banai gai

khun ko khak mein milaya gaya
sabz tahzib ko mitaya gaya

gulsitan ka nizam badla gaya
aur pae-intiqam badla gaya

jabr ke raste nikale gae
aur jawan ped kat dale gae

tahniyan kanpti larazti rahin
sahme sahme gulab tode gae

phul aur pattiyon ka zikr hi kya
ghunche bhi shakh par na chhode gae

titliyon ke paron ko masla gaya
jugnu sangin mein piroe gae

pyas bhi khun se bujhai gai
zakhm bhi khun hi se dhoe gae

barf ki ek safed chadar par
khun se ek payam likkha gaya

amn insan ke nam likha gaya
log ab puchhte hain ai 'tariq'

khun se likkha payam kis ka hai
ye bhi likh do ki nam kis ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close