kyun aakhir mujhe shaitan kahte hain ye sare log kyun aakhir mujhe shaitan kahte hain agar ganja koi ho samne chandiya chamakti ho to kya ye dil nahin kahta chapat ek aadh jadne ko hatheli jab khujati hai main aisa kar guzarta hun meri building ka chaukidar so jata hai din mein bhi wo kharrate bhi leta hai jo us ki nak par ek tape chpkane ko ji chahe main aisa kar guzarta hun padosan aunty ki murghiyan ande jo deti hain main aksar sochta hun in se chuze kyun nikalte hain meri khwahish ye hoti hai unhen main tod kar dekhun main aisa kar guzarta hun gali ke mod pe baitha hua mota sa ek kutta agar daude to kaisa ho agar bhaunke to kaisa ho patakha us ki dum par bandh kar machis dikhane ko mera ji chahta hai gar main aisa kar guzarta hun buzurgo mujh ko batlao ye sab karne ko aakhir kya kisi ka dil nahin kahta kya main sab se anokha hun ye sab shaitan karte hain koi insan nahin karta ye sare log kyun aakhir mujhe shaitan kahte hain