des apna hum ko pyara kyun na ho des apna hum ko pyara kyun na ho dil fida is par hamara kyun na ho hind se badh kar nahin koi zamin go jahan jannat hi sara kyun na ho kahte hain jis chiz ko aab-e-hayat phir wo shai ganga ki dhaara kyun na ho jis ne phailaya jahan mein nur-e-ilm aankh ka duniya ki tara kyun na ho kab mita sakta hai hum ko aasman go wo dushman hi hamara kyun na ho hindu o muslim ko ladte dekh kar ranj se dil para para kyun na ho hum ne ye mana kabhi lad bhi liye az-sar-e-nau bhai-chaara kyun na ho kyun na ho ulfat adawat kyun rahe dushmani kyun ho mudara kyun na ho hum hain hindostan ke sachche saput des ki khidmat gawara kyun na ho