waqtan-fawaqtan hamari tarif ki jae hamein shabashi di jae kyunki hum khas log hain hamara khuda ek khas darwaze se hamein apni jannat mein dakhle ka eazaz bakhshega hamara muqabla aam aadamiyon se na kiya jae hamein mutlaq izhaar-e-rae ki aazadi di jae hamare tarz-e-amal par koi qadghan na lagae taslim kiya jae ki hum zindagi ko ziyaada gahrai se samajhne ki salahiyat rakhte hain hamein aam aadamiyon ke liye banae jaane wale mearaat par na parkha jae hamein har tarah ki tanqid aur ehtisab se baala qarar diya jae awam ki khidmat aur islah hamara mission hai agar is mission ko pa-e-takmil tak pahunchane ke dauran koi shakhs agar hamare hathon jazbaati ya jismani taur par halak ho jae to hamari niyyat par shubah na kiya jae hamein shabashi den, hamari tarif ki jae kyunki hum khas log hain