mere dost, mere khair-khwah mere islah ki gharaz se waqtan-fawaqtan apne qimti mashwaron se nawazte rahte hain wo ye kaam puri zimmedari se razakarana buniyaad par karte hain agar main un ke mashwaron par amal shurua kar dun to mumkin hai ye log mujhe mashware dene se baz aa jaen main apne khair-khwahon ke diye hue mashwaron ke lifafe ek almari mein dalta rahta hun jo bhar chuki hai main jaanta hun mashware dena mere khair-khwahon ka haq hai aur un par amal na karna meri kotahi mashwaron ka ambar ab is qadar badh chuka hai ki mujhe ek nai almari kharidna hogi ya phir apne khair-khwahon ke qimti mashwaron par amal ka aaghaz mere dost mere khair-khwah meri islah ki gharaz se waqtan-fawaqtan mujhe apne qimti mashwaron se nawazte rahte hain lekin koi meri madad karne ko tayar nahin