main sochti hun ki zindagi ki tamam khushiyan tamam yaaden tamam khwab apne raushni ke tumhaare qadmon mein nazr kar dun mujhe khabar hai ye khwab mere purani qabron ke tute-phute shikasta katbon ki tarah be-ab ho chuke hain main jaanti hun ye khwab mere hisab rakkhun to zindagi-bhar ki dastan hain magar ye yaadon ke khushk patte likha hai bas jin pe ek hi nam hazaron sadiyon hazaron barson se ek hi nam jo padh sako to mujhe bata do ki main bhi khwabon ki is kahani ko koi achchha sa nam de dun