suna hai phir aaj rat-jaga hai ki aa gai hai phir ek lamha mein jine-marne ki sadiyon par muhit saat wo khwab ke jagte nagar mein rawish rawish chandni bichhae andhere kamre ke sab darichon mein intizar ki mishalen jalae wo nind se dur an-ginat be-shumar raaten salib ehsas ki uthae wo an-kahi an-suni kahani ke sare kirdar hath phailae alaw ke gird phir khade hain qatar bandhe ishaara milne ke muntazir hain ki khwab ki sar-zamin kab qatl-gah hogi ye ek lamha mein jine-marne ki sadiyon par muhit saat na jaane ab kis ki bhent legi ki koi zi-ruh khwahishon ke ujad jangal mein ab nahin hai