bichhae khak ka bistar lapete rah ki gard takallufat ke aalam mein sar-ba-sang hai wo rah-e-hayat mein har lamha mahw-e-jang hai wo tamam jism basa hai mahak se gare ki gamak rahe hain pasine ke itr se kapde ye wo hai likhta hai qismat jo haft taron ki ye wo hai jo ki banata raha hai taj-mahal khuda ne di hai ise be-niyazi ujrat mein makan banata hai lekin sadak pe rahta hai