muhib lambe ghane pedon ki hari shakhen kabhi kabhi koi ashlok gungunati thin kabhi kabhi kisi patte ka dil dhadakta tha kabhi kabhi koi konpal darud padhti thi kabhi kabhi koi jugnu alakh jagata tha kabhi kabhi koi tair hawa se ladta tha kabhi kabhi koi parchhain chikh padti thi aur is ke baad meri aankh khul gai main ne sirhane rakkhe hue taza roz-name ki har ek satr bade ghaur se padhi lekin khabar kahin bhi kisi aise hadse ki na thi aur is ke baad main diwana-war hansne laga aur is ke baad har ek samt la-zawal sukut aur is ke baad har ek samt la-zawal sukut