qaum sarsayyad ka ye ehsan bhula sakti nahin yaad un ki gardish-e-dauran mita sakti nahin qaum ki islah-o-khidmat mein hazaron dukh sahe aandhiyon ki zad pe tum karte rahe raushan diye aap ne daur-e-jahaalat se nikala qaum ko ilm aur tahzib ke sanche mein dhaala qaum ko khun-e-dil se aap ne sincha hamara ye chaman jis mein khulte aaj bhi hain ghuncha-ha-e-ilm-o-fan dars-gah-e-ilm-o-danish hai ye un ki yaadgar jo hamare waste hai bais-e-sad-iftikhar aap ka raushan rahega ta-abad duniya mein nam qaum ke sab naunihaalon ko hai sayyad ka payam tum ko mere khwab ki tabir hona chahiye ahl-e-ilm-o-sahab-e-tadbir hona chahiye