lab pe pabandi to hai ehsas par pahra to hai phir bhi ahl-e-dil ko ahwal-e-bashar kahna to hai khun-e-ada se na ho khun-e-shahidan hi se ho kuchh na kuchh is daur mein rang-e-chaman nikhra to hai apni ghairat bech dalin apna maslak chhod den rahnumaon mein bhi kuchh logon ka ye mansha to hai hai jinhen sab se ziyaada dawa-e-hubbulwatan aaj un ki wajh se hubb-e-watan ruswa to hai bujh rahe hain ek ek kar ke aqidon ke diye is andhere ka bhi lekin samna karna to hai jhut kyun bolin farogh-e-maslahat ke nam par zindagi pyari sahi lekin hamein marna to hai