ye ek lamha jo apne hathon mein chand suraj liye khada hai mujhe ishaaron se kah raha hai wo mere ham-zad mere bhai jo pattiyon ki tarah se kumhla ke zard ho ke tumhaare qadmon mein aa gire hain durida yaadon ke qafile hain wo mere hamnam mere sathi jo konpalon ki tarah se phutenge khushbuon ki tarah chalenge nae sarabon ke silsile hain jo bit jata hai wo fana hai jo hone wala hai wo fana hai ye kya ki tum aansuon mein dube hue khade ho hazar bedar lazzaton ko khiraj dene se dar rahe ho ye meri aankhon hain meri aankhon mein apni aankhon ke rang bhar do chalo mujhe la-zawal kar do ye ek qatra jo zindagi ke samundaron se chhalak raha hai meri shikaston ki ibtida hai