mere kamre ke bade taq mein ek aaina suraten sab ko dikhane ke liye rakkha hai samne aaine ke baith ke roz ek chida jaane kyun aks se apne hi lada karta hai kabhi panjon se kabhi chonch se hamle kar ke ye samajhta hai use jit yaqini hogi is himaqat se agar baz nahin aaega chonch kya us ki to rag rag kabhi zakhmi hogi jab koi kaam na hoga use ladne ke siwa sans bhi le na sakega kabhi be-khauf-o-hiras phir kisi din ye tamasha bhi nazar aaega nannhi si lash padi hogi us aaine ke pas sochta hun ki mere mulk ke lakhon bachche roz aapas mein isi tarah lada karte hain faeda is se kisi ko bhi nahin hota hai kuchh na kuchh apna hi nuqsan kiya karte hain yahi aadat jo bana li to wo din bhi hai qarib chain se rah na sakenge ye ladai ke baghair koi bhi pas se guzra to khushi ka kya zikr kuchh bhi to kah na sakenge ye ladai ke baghair be-sabab ladne ke jazbe ko jo roka na gaya log aaqil hon ki nadan lade jaenge apni fitrat hi bana lenge jo baham ladna jaanwar hon ki hon insan lade jaenge wo mukhalif na sahi apna koi aks sahi mil hi jaega unhen koi jhagadne ke liye aaine samne rakh kar yahi sarkash bachche baith jaenge har ek subh ko ladne ke liye sab rahe jaenge aapas mein agar mil-jul kar har jagah mulk mein gulzar nazar aaenge aur agar bughz-o-adawat ka yahi josh raha ja-ba-ja lashon ke ambar nazar aaenge