nind-palki utri raat dur jangal mein khwab khwab manzar tha dhire dhire bahti thi simfani hawaon ki raat chand baadal mein chandni ki banhon mein jhil waltz karti thi dhimi dhimi si khushbu sath sath chalti thi kunj mein darakhton ke be-khudi ke aalam mein mast dar hirnon ki bele raqs karti thi hirniyon ki aankhon mein mushk si mahakti thi kale pairahan pahne ba-waqar pedon ne wailen sambhaale the jhumte hue patte taliyan bajate the gungunati bailon par phul kasmasate the jugnuon ki jhilmil se raj-hans sote se jag jag uthte the aahaten parindon ki apne shab-baseron mein paelen bajati thin apne band kamre mein aankh jo khuli dekha shahr ki kasafat se muzmahil sa suraj phir ek aur nae din ki dhul le ke aaya tha t w wale kamre mein subh ka khabar-nama ittilaa deta tha ek aur jangal ko kat kar nikalenge rasta taraqqi ka