abhi taskhir karne hain wo lafz ki jin ko likh kar kitabon mein padh kar tamannaon ki an-ginat wadiyon mein base apne khwabon mein tabir ki khidkiyan khol kar dusron par khule aur phir dusron ke liye misl-e-jaanan bane lafz wo jin ko sadiyon ne dekha jinhen dekh kar un ko chaha jinhen chah kar un ko apne gale se lagaya ye sab chahne aur gale se lagane ke lamhe bayan jis ada se hue lafz wo hamein taskhir karne hain