main ne 'rumi' se kaha mujh ko bata rengta kida hun ki shahbaz-e-dost main hun mahrum-e-samaat aaj tak aaj tak hun shaki-e-aghraaz-e-dost mujh pe nazil na hui koi kitab kyon na thi main laeq-e-eazaz-e-dost hans ke 'rumi' ne kaha nadan sun aa karun tujh pe ayan main raaz-e-dost us ki manzuri tera qalb-e-salim ye parinda aur tu parwaz-e-dost raqs tera hi hai raqs-e-kaenat wo mughanni aur tu hai saz-e-dost us ke hathon ne uthai hai kaman tir us ka aur tu andaz-e-dost ruh ke andar ka manzar al-aman naz wala wo hai aur tu naz-e-dost gar tu mahrum-e-samaat hai to phir az-kuja mi aayad in aawaz-e-dost