nae nae lafz shor karte badhe chale aa rahe hain fikr o khayal ki rahguzar aabaad ho rahi hai zaban bahut si purani had-bandiyon se aazad ho rahi hai kai fasane jo an-kahe the kai tasawwur jo be-zaban the hazar aalam nashat o gham ke jo pahle na-qabil-e-bayan the wo dhadkanen khamushi hi jin ke kharosh-e-pinhan ki tarjuman thi wo naghmagi jo khamoshiyon ke siyah zindan mein par-fishan thi use ab aakhir khuli fazaon mein izn-e-parwaz mil gaya hai ki ek naya rishta darmiyan-e-khayal-o-awaz mil gaya hai magar mujhe chup si lag gai hai nae nae lafz shor karte badhe chale aa rahe hain aur main hujum-e-pur-shor mein akela purane lafzon ko dhundta hun ye dekhta hun jahan jahan kal purane lafzon ne dal rakkhe the apne dere wahan nae lafz aa ke aabaad ho gae hain makan agarche ujad na pae makin barbaad ho gae hain nae nae lafz shor karte badhe chale aa rahe hain lekin purane lafzon ki paemali ne dam ba-khud kar diya hai mujh ko kisi ne socha nahin hai shayad magar main aksar ye sochta hun purane lafzon ke sath hi ek purani duniya bhi kho gai hai khamoshiyon ke siyah-zindan mein ja ke ru-posh ho gai hai