aao shabnam ke pani mein jhanken hawaon ke udte hue narm jhonkon se khelen fazaon mein bikhre hue khwab dhunden jo bachpan mein hum se zamane ne chhine the aur ahl-e-duniya ki chhat par bikhere the! logon se, rahon se apni kitabon se puchhta tha khwabon ki duniya kahan hai? khuda ko pukaren jo har shai ke parde mein parda hai dekhen wo kis kis ki sunta hai khwabon mein jhanken ki khwabon ke andar wo basti hai jo khush-nasibon ki basti hai, achchhe khuda ke iradon ki basti hai shayad wahin apne bachpan ke chhine gae khwab rahte hain hum se bichhad kar judai ke sadmon ko sahte hain