lafzon ke khel bahut ajib hote hain kabhi aasaman par le jate hain aur kabhi zamin par de marte hain ye kapdon ke rangon se ziyaada kabhi bahut gahre kabhi bahut halke suron mein dhime dhime khun sairab karte hain aur kabhi ek ek qatra nichod lete hain ye aaram-deh bistar par hum se ham-bistari karte hain aur kabhi hamari aanwal nal se chipak jate hain aur jab tak hum zinda rahte hain ye hamein loriyan dete hain aur kabhi hamein achanak mar jaane par majbur karte hain aur ye lafz hi elan karte hain ki kis jagah kis tarikh ko hum kahan murda haalat mein pae gae