pyare bete ibrahim tumhein shikayat hai ki ek arse se main ne kuchh likha likha ya nahin 'iqbaal' ne kaha tha nale bulbul ke sunun aur hama-tan gosh rahun ham-nawa main bhi koi gul hun ki khamosh rahun phir 'faiz' ne kaha tha bol ki lab aazad hain tere bahut uksata hun apne-ap ko lekin zaban ki girah khulti hi nahin aur dil ka shoala-lab mojiz-bayan par aata hi nahin hae 'nasir'-kazmi' bas 'ghaalib' ki tarah kan lapet kar baith jata hun khula kar faeda arz-e-hunar mein khak nahin bolunga to sunega kaun kisi ke kan mein pad bhi gai to samjhega kaun aaj-kal to bade bade khad-penchon ki haalat ye hai ki koi sunta hai to samajhta nahin koi samajhta hai to sunta nahin aur bahut hain jo sunte bhi nahin samajhte bhi nahin phir mere pas nale ko hai kiya kaun si zaruri baat hai jo an-kahi rah gai hai sare falsafe sare nazariye sare masail to bayan ho chuke shairon ne latif se latif jazbe ko sau sau tarah se bandh dala mausiqaron ne nazuk se nazuk ehsas ko paband le kar diya na kisi ke liye kuchh kahne ko baqi hai na kisi mein sunne ka yara hai yahi ghanimat hai ki dil bhar aae to munh hi munh mein kuchh badbada len aakhir jab khuda ne abhi khudai na banai thi to akele mein kya karta ho wo khud hi bolta hoga khud hi sunta hoga wo mera ye maqam to nahin lekin haalat yahi hai khud hi bolta hun khud hi sunta hun bas ye samajh mein nahin aata ki kaha kya hai aur suna kya hai waise ye samjhe samjhane wali baat bhi tedhi khair hai 'ghaalib' ne kaha tha bak raha hun junun mein kya kya kuchh kuchh na samjhe khuda kariye koi aur is se pahle 'mir-dard' ne bahut dard se bataya tha samajhte the na magar sunte the tarana-e-dard samajh mein aane laga jab to phir suna na gaya wassalam