main apne khun ko jawab deta hun nichla hissa mere badan ka jo zat bhi kaenat bhi tha mera hi apna atut hissa tha main hi tha mera apna main tha agar main haiwan ki pahli manzil se irtiqa ke hazar zinon pe chadhta chadhta wajud ki ek ek manzil phalang kar ahd-e-mansabi ke kisi bhi aainda kal ki jaanib rawan-dawan hun to mujh ko haiwan se bughz kya hai ki irtiqa ki ye pahli manzil meri rag-o-pai mein jism ke resha-ha-e-mu mein rachi hui hai basi hui hai ye mera kal hai jo mere hazir ka aaj bhi hai mere guzishta se aaj paiwast mera mazi hi mere tan ka wo nichla hissa hai jis ko jhutla ke jis se dar kar jise kahin kant chhant karne ke baad rud-e-nafi ke tarik chah mein phenk kar main aadhe adhure tan ko liye hue kaise ji sakunga