tum badan ki sath ke tairak banna chahte the tum the nazzaron ke sahil par tamasha-bin aur shauqin tum pahunchna chahte the pairahan ke par jild tak mahdud tha zauq-e-jamal gosht tha maqsud-e-parwaz-e-khayal inkishaf-e-jism tha afkar-e-ali ka kamal daman o band-e-qaba angiya dupatte painche the tumhaari shaeri ke mashghale aur tumhaare masale aur marhale aur hum hain ruh ki ehsas ki gahraiyon ke ghota-khor zindagi mein aur hum mein raaz ab utne nahin zindagi kya aur duniya kya hamare samne hain be-hijab jild kya aur gosht kya aur jism kya x-ray screen par hain haddiyan tak be-libas bar-ha dekhi hui chizon ko phir se dekhna bar-ha bhogi hui chizon ko phir se bhogna bhog kar khush hona khudhna, tilmilana sochna sochna aur soch ke karan ko pichhe chhod kar napte phirna azal se ta-abad soch ka sahra-e-na-paida-kanar aarzu-e-did ke shaalon mein tum chalte rahe did ke shoalon mein hum lipte hue hain tum parai aag mein jalte rahe aur hum jalte hain apni aag mein aur ab apne parae mein kahan hai koi bhed ek hi aakash apne bazuon mein bhenchta hai ek takht-al-arz chashma sab jadon ko sinchta hai ek hi shoala nason ko khinchta hai