main apne khun ko jawab deta hun nichla dhad mere sath rahne do mere hissa hai mera main hai ki apne haiwan ki pahli manzil se chalne wala ki apne insan ki sidhiyon tak pahunchne wala mera hi jauhar tha shahd ka qatra qatra haiwan tha apne insan ki sidhiyon se bhi aur uncha wo mansab-e-nasl jo farishton se baala-tar hai jo meri aamad ka muntazir hai mere hi jauhar ke tisre aakhiri qadam ka amin hoga mujhe khabar hai ki aane walon ko dasht-e-imkan mein ek nae naqsh-e-pa ke abadi wajud ka bhi yaqin hoga