ye handi ubalne lagi ye mitti ki handi ubalne lagi hai ye mitti ki diwani handi ubalne lagi hai hazaron baras se meri aatma ungh mein phans gai thi jab insan do pattharon ko ragad kar kuhan-sal suraj ki surkh aatma ko bulane laga tha magar tez aanch aur bahut tez bu ne jhinjhoda to ab aankh phade hue dam-ba-khud hai ubalne lagin sabziyan phul phal gosht dalen anaj abhi shorbe ke khadakne ki aawaz chhai hui thi abhi sanp-chhatri lagae hue bhap nile khalaon ki jaanib rawan hai wo jis ki ziyafat ki tayyariyan thin kahan hai meri aatma jag kar chikhti hai ye handi ubalne lagi hai ye mitti ki handi ubalne lagi hai ye mitti ki diwani handi ubalne lagi hai