lahu ka suragh

kahin nahin hai kahin bhi nahin lahu ka suragh
na dast-o-nakhun-e-qatil na aastin pe nishan
na surkhi-e-lab-e-khanjar na rang-e-nok-e-sinan
na khak par koi dhabba na baam par koi dagh
kahin nahin hai kahin bhi nahin lahu ka suragh
na sarf-e-khidmat-e-shahan ki khun-baha dete
na din ki nazr ki baiana-e-jaza dete
na razm-gah mein barsa ki mo'tabar hota
kisi alam pe raqam ho ke mushtahar hota
pukarta raha be-asra yatim lahu
kisi ko bahr-e-samaat na waqt tha na dimagh
na muddai na shahadat hisab pak hua
ye khun-e-khak-nashinan tha rizq-e-khak hua
This is a great best shayari of barsaat. True lovers of shayari shahadat e imam ali will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore pak punjabi shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close