layal-pur ek shahr hai jis mein dil hai mera aabaad dhadkan dhadkan sath rahegi us basti ki yaad mithe bolon ki wo nagri giton ka sansar hanste-baste hae wo raste naghma-rez dayar wo galiyan wo phul wo kaliyan rang-bhare bazar main ne un galiyon phulon kaliyon se kiya hai pyar barg-e-awara mein bikhri hai jis ki rudad layal-pur ek shahr hai jis mein dil hai mera aabaad koi nahin tha kaam mujhe phir bhi tha kitna kaam un galiyon mein phirte rahna din ko karna sham ghar ghar mere sher ke charche ghar ghar mein badnam raaton ko dahlizon pe hi kar lena aaram dukh sahne mein chup rahne mein dil tha kitna shad layal-pur ek shahr hai jis mein dil hai mera aabaad main ne us nagri rah kar kya kya git likhe jin ke karan logon ke man mein hai meri prit ek lagan ki baat hai jiwan kaisi haar aur jit sab se mujh ko pyar hai 'jalib' sab hain mere mit dad to un ki yaad hai mujh ko bhul gaya be-dad layal pur ek shahr hai jis mein dil hai mera aabaad