dariche se jahan tak bhi nazar aata hai musalsal khamushi hai sadak ki pili lakir sar pitti hai dur tak foot-path par raunde hue sae poll par bijli ke khambe se latakti ek chamgadad subh ka zard chehra raat ke andoh ka ahwal ek chaupaya aur nukkad par khade ho tum musalsal khamushi hai dariche se jahan tak bhi nazar aata hai musalsal khamushi hai mere kamre ke andar han magar tarikh raushan hai hazaron sal ke tajrabe banhen pasare aise baithe hain ki jaise shahr bhar ki khamoshi se mutmain hun mere computer ki desktop kal ki ek taswir apni kahani bolti hai na jaane kyun ye manzar dekhte hi sadak par phir shor o girya jag uthta hai saron ki bhid ugti hai rawan rahte hain sae ba-juz is ke musalsal khamoshi hai magar dil chahta hai khamoshi ko aise todun tumhaare pas jaun aur kahun banduq ko niche karo aao na meri desktop par kal ka photo tum bhi dekho tum bhi dekho main lahu ko zoom karta hun