chatanon ke andar bahut sari parton ke qilaon fasilon ki taskhir karti meri aankh jab aur aage badhi to wahan aag ke ek garajte samundar se lag kar bahut hi munawwar bahut khub-surat si duniya khadi thi hazaron chamakte hue rang ke an-ginat pattharon ne meri aankh ka khair-maqdam kiya dhuen aur kohre ki parchhaiyon se pare aatish-e-sang-e-be-tab ek lams-e-awwal ki khatir lahu-rang sayyal raushan bhanwar nachti saiqa tedhi-medhi si bahti hui sim-tan ek nadi aab-e-zar mein nahate hue sabz nile gulabi sitare meri aankh ke muntazir the meri aankh sare nazaron ki tahrir padhne lagi phir na jaane hua kya kahan kho gai wahan se meri aankh wapas nahin aa saki