taghayyur ka sailab aaya to zanjiren sari utha le gaya shahanshahiyat ka sunahra samundar hawa le gai aur sab ki nazar ek kale amame ki jaanib pur-ummid ho kar uthi suna tha ki kale amame ke andar nae mausamon ke tilismat-khanon ki sab kunjiyan hain magar is amame ke andar naya hukm-nama bahut khub-surat se khanjar se lipta hua so raha tha wo jaga to chaaron taraf khun ki badliyan qatl ki aandhiyan shor karne lagin gunahgar kya be-gunahon ki sari safen kat gain khun hi khun har samt bahne laga aur sab ne lahu ki fasilon se dekha ki kala amama shahanshahiyat ka naya ek samundar sambhaale khada tha